|
|
|
Raqs Karane Ka Mila Hukm Jo Dariyaon May
Ham Ne Khush Hoke Bhanwar Bandh Liye Paon May
Un Ko Bhi Hai Kisi Bhige Hue Manzar Ki Talash
Bund Tak Bo Na Sake Jo Kabhi Saharaon May
Ai Mere Ham Safaron Tum Bhi Thake Hare Ho
Dhup Ki Tum To Milawat Na Karo Chaon May
Jo Bhi Ata Hai Batata Hai Naya Koi Ilaj
Bat Na Jaye Tera Bimar Masihaon May
Hausala Kis May Hai Yusuf Ki Kharidari Ka
Ab To Mahangai Ke Charche Hai Zulaikhaon May
Jis Barahaman Ne Kaha Hai Ke Ye Sal Achcha Hai
Us Ko Dafnao Mere Hath Ki Rekhaon May
Wo Khuda Hai Kisi Tute Hue Dil May Hoga
Masjidon May Use Dhundho Na Kalisaon May
Ham Ko Apas May Muhabbat Nahi Karane Dete
Ik Yahi Aib Hai Is Shahar Ke Danaon May
Mujh Se Karate Hain "qateel" Is Liye Kuch Log Hasad
Kyon Mere Sher Hain Maqabul Hasinaon May
|
|
|
|
|