|
|
|
Sabz Maddham Roshani May Surkh Anchal Ki Dhanak
Sard Kamare May Machalati Garm Sanson Ki Mahak
Bazuon Ke Sakht Halqe May Koi Nazuk Badan
Silwaten Malabus Par Anchal Bhi Kuch Dhalaka Hua
Garmi E Rukhsar Se Dahaki Hui Thandi Hawa
Narm Zulfon Se Mulayam Ungaliyon Ki Cher Char
Surkh Honthon Par Shararat Ke Kisi Lamhen Ka Aks
Reshami Bahon May Churi Ki Kabhi Maddham Dhanak
Sharmagin Lahajon May Dhire Se Kabhi Chahat Ki Bat
Do Dilon Ki Dharakanon May Gunjati Thi Ek Sada
Kanpate Honthon Pe Thi Allah Se Sirf Ek Dua
Kash Ye Lamhe Thahar Jayen Thahar Jayen Zara
|
|
|
|
|