|
|
|
Nazar Fareb-e-kaza Kha Gai To Kya Hoga
Hayat Maut Se Takra Gai To Kya Hoga
Nai Sahar Ke Bahut Log Muntzir Hain Magar
Nai Sahar Bhi Kajla Gai To Kya Hoga
Na Rahnumaoon Ki Majalis Main Le Chalo Mujhko
Mai Be-adab Hoon Hansi A Gai To Kya Hoga
Ghum-e-hayat Se Beshaq Hai Khudkushi Asan
Magar Jo Maut Bhi Sharma Gai To Kya Hoga
Shabab-e-lala-o-gul Ko Pukarnewaloo
Khiza-sirisht Bahar A Gai To Kya Hoga
Ye Fikr Kar Ki Is Asodagi Ke Dhoke Main
Teri Khudi Ko Bhi Maut A Gai To Kya Hoga
Hoshi Chini Hai To Ghum Ka Bhi Aitmad Na Kar
Jo Rooh Ghum Se Bhi Ukta Gai To Kya Hoga.
|
|
|
|
|