|
|
|
Us Ki Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakoo
Dhoondhane Us Ko Chala Hoon Jise Pa Bhi Na Sakoo
Dal Ker Khak Mere Khoon Pe Qatil Ne Kaha
Kuch Yeh Mehndi Nahi Mer Ke Mita Bhi Na Sakoo
Zabt Kambakht Ne Aur Aa Ke Gala Ghoonta Hai
Ke Use Haal Sunaoo To Suna Bhi Na Sakoo
Us Ke Pahlu Main Jo Leja Ke Sula Doon Dil Ko
Nind Aisi Use Aye Ke Jaga Bhi Na Sakoo
Naqsh-e-pa Dekh To Loon Lakh Karoonga Sajde
Sar Mera Arsh Nahi Hai K Jhuka Bhi Na Sakoo
Bewafa Likhte Hain Wo Apni Qalam Se Mujh Ko
Ye Wo Qismat Ka Likha Hai Jo Mita Bhi Na Sakoo
Is Tarah Soye Hain Sar Rakh Ke Mere Zano Par
Apni Soi Hoi Qismat Ko Jaga Bhi Na Sakoo
|
|
|
|
|